Habib Jalib's Immortal Words Against Censorship Remain Relevant Today

Habib Jalib's Immortal Words Against Censorship Remain Relevant Today


As alternative and critical voices face censorship in Pakistan, one is reminded of Pakistan's history of muzzling dissent. In these challenging times when space for critical expression is rapidly shrinking, revolutionary poet Habib Jalib's poetry remains a source of inspiration for those resisting the clampdown on freedom of speech.


Considering how difference of opinion and dissent is dealt with abuse and intimidation, the following poem by Jalib remains just as relevant today.


Aur sab bhool gaye harf-e-sadāaqat likhnā


Reh gayā kaam hamārā hee baġhāavat likhnā








Laakh kehtay raheiñ zulmat ko na zulmat likhnā


Hum ne seekhā nahīñ pyāray ba-ijaāzat likhnā








Na silay ki, na satā.ish kī tamannā hum ko


Haq meiñ logoñ ke humārī tou hai aadat likhnā








Hum ne jo bhool ke bhi Shah kā qaseeda na likhā


Shāyad aayā isī ḳhoobi ki badaulat likhnā



Iss se barh kar meri tehseen bhala kya hogi


Parh ke na-ḳhush hain mera sahab-e-sarvat likhnā



Sahr ke ġham se hua rabt tou hum bhool gaye


Sarv qāmat ko javaani ko qayāmat likhnā



Kuch bhi kehtay hain, kehein Shah ke masaahib Jalib


Rang rakhna yehi apna, issi soorat likhna